Happy people plan actions, they don’t plan results.
Abhi tak andhera sa tha jivan mai
Nahi pata tha kya hai mere maan mai
2 din ki kahani kuch lafzo mai bata nahi sakti
Kya kare tan maan mai beh rakhi hai aisi shakti
Naam sunne se hi khushi mil jati hai
Happiness karne se woh samaj bhi aa jati hai
Na roko khud ko, na socho dusro ka
Abhi toh hum sharir se nikle hai
Tai karna hai safar aur dur tak ka
Dukhi bhi honge mayus bhi
Par na bhulna thoda bhi kya kiya tha tai
Maan toh maan hai chanchal sa
Na rehna chahta kabu mai
Par hum bhi dikha denge usko
Hum mai kitna hai dum
Nahi kar payega maanmaani apni
Kar lo chahe jitne sitam
Khush rehna hai mujhe
Faisla meine liya hai
Par aise nahi hoga
Jo bola woh karna hai
Chamak uthega chehra mera
Khud ko shant karke
Maan bhi bol uthega
Ha dum hai bhai tujh mai.